Koi Mujhe Chhor To Sakta Hai Magar Bhula Nahin Sakta..
Kabhi saaya hai kabhi dhoop muqaddar mera,
hota rehta hai yunhi qarz baraabar mera,
Toot jaate hain kabhi mere kinaare mujh me,
doob jaata hai kabhi mujh me samandar mera. Jab Chhote the tab bade hone ki badi tamanna thi,
Lekin ab pata chala ki adhure ehsas, Aur toote sapno se to,
Adhura Homework Aur Toote khilaune Hi achhe The.Yah Ghalat Kaha kisi Ne Ki Mera Pata Nahi Hai,
Mujhse Dhundney ki Had Tak Koi Dhundta Nahi Hai.Kuch khwaab hain jin ko likhna hai
Tabeer ki surat deni hai
Kuch log hain ujarre Dil wale
Jinhain apni Mohabbat deni hai
Kuch Phool hain jin ko chun_na hai
Aur haar ki surat deni hai
Kuch apni neendein baaki hain Jinhe
baantna hai kuch logon me
Aey umra_e_rawaan aahista chal
Abhi bahot sa karz chukaana hai.Aaj ujaalon me ek kami si rehne de,
Aankhon me ek katra nami si rehen de,
Reh na jaaye mohabbat adhuri meri,
Intezar hai...... intezaar hi rehne de...Ik raat hui
Barssat bahot.
Main roya sari raat bahot
Har gham tha
Zamane ka
lekin
Main tanha tha
us raat bahot
Phir aankh se
Ik sawan barsa
Jab seher hui to
Kya dekha
Wo badal
Kitna tanha tha
Jo barsa
Sari raat bahot………Muhabbat k baad muhabbat mumkin hai 'Faraaz'
Magar tootkar chahna sirf ek baar hota hai.
mujhe gumaan tha k chaha bahut zamane ne mujhe...
main azeez to sabko tha magar sirf zarurat ke liye...
WO TEYI YAAD THI
DIL DHADHAK NE KA SHABAB YAAD AAYA .......
WO TEYI YAAD THI AB YAAD AAYA.............
~ℓσηєℓy нєαят~:
khwahisheN kahaaN kisi ki puri hoti haiN,sapno ki haqikat to bahot buri hoti haiN..
bichad jate haiN sathi safar-e-jist meiN,mil na paana to unki majboori hoti haiN..
Meri Udaan Ke Aage Hai Kis Qadar BeBas,Yeh Aasmaan Jo Sitaaroon Ka Jaal Rakhta Hai---
khushboo kyon na aaye meri kabar se, maine ek umar guzaari hai phool jaise chehron ke saath....
mohabbat ke dino me uska muskurana na kabhi dekha humne ! aaj alvida kya kha maine kambakhat wo
muskura diye!!
Bohat Nazdeek Atay ja Rahay ,Ho..,Bicharnay Ka Irada Ker Lia Hai Kia?
Qadam ruk se gaye hain phool bikte daikh kar "MOHSIN"
mai aksar us se kehta tha "Muhabbat phool hoti hai"
tujhko to khair
shahar ke logon ka Khauf tha......
aur mujhko apne ghar se ijaazat
nahiin mili ......
kyon rote ho uss ki yaad main……WASI…..
Ansoun se taqdeer badalti tu aaj WO mera hota..!!
Na Jaaney Koun Si Majbooriyon Ka 'Qaidi' Ho,
Woh Saath chod Gaya Hai, To 'Bewafaa' Na Kaho...
unhe tha yakeen k hum unke liye jaan na de paienge, aur hume khauf tha k woh royenge hume aazmane k baad.....
Zindagi Tujhse Har Ik Sans Pe Samajhuta Karun..
Shauq Jine Ka Hai Mujhko Magar Itaa To Nahi!!
Tumhara naam likhne ki ijajat chin gyi jabse..
koi bhi lafz likhta hun to ye aankhen bheeg jati hain...
Ishq e mohabbat me utar kar humne uska daman wfa se bhar diya !
kambakhat zindgi hume or kya dard degi humne zindgi ko dard diya !!
Muhabbat kar saktay ho to rab se karo faraz
Mitti k khilno se kabi wafa nahi milti....
suna hai hamein vo bhulaane lage hain
to kyaa ham unhein yaad aane lage hain
Zindagi Uski Jis Ki Maut Pe Zamana Afsos Karey "GHALIB" . . .
Youn To Har Shaks Aata Hai Iss Duniya Mai Marney Key Liye
Khat me mere hi khat ke tukde the e faraj!
Aur mujhe lga, mere khat ka jawab aa gaya !!
Nakaam thi mery sub koshishen uss ko manane ki FaRaZ
Pata nahi kahan se seekhin hain zalim ne adaain rooth jane ki
aGAR WO POOCH LE HUM SE tumhain kis baat ka ghum hai..
toh phr kis baat ka ghum hai agr wo pooch le hum sy..
agar kise ko chaho toh es andaz se chaho..
wo zinda toh rahay magar sirf tumharay liay..
MERAY honto k dikhaway ki tabassum pe na ja..
ye toh parda hai ghum.e.dil ko chupanay k liee.
labon par muskuraahat
aankhon me do chaar ashq bhi hain,,,
aaj unhe shayad kisi ne hasa kar rulaya hai.....
Phir itne may0os kyun h0 us ki bewaFayi par,
Tum khud hi t0h kehte thay k w0h sab se Juda hai…..................
apni muhabat pe faqt itna bharosa hai..
meri wafain osay kise aur ka honay nahe dain gi..
apni had se na guzre koi ishq mein
jise jo milta hai naseeb se milta hai
Na Hath Thaam Sakey Na Pakar Sakey Daman
Bohat He Qareeb Se Uth Kar Bichar Gaya Koi...
Tum Bujha Kar To Chale Ho Meri Yaadon k Charagh
Kya Karogy Kahin Rastay Main Agar ‘Raat’ Hojaye Tau
Tanhayieyon Mein Baith'kar Sochte Ho Kya,
Kuch Toh Humein Batao Pareshan Hum Bhi Hain
Dhooen ke rang se shehron ki deewaron pe likha hai,
Bahot mehfooz tha jab jangal me rehta tha.
na guzra karo un galiyon se jahan wo saath tha.. sahil
Wo galiyan b tarap uthti hain tujhy akela dekh kar!
un ankhon mai bhi halki si nami rehti hai...
baat krte hain jo aurun ko hansaney k liye..
Tum taluk torne ka kahin zikr na kerna Faraz,
Mai logon se keh donga k use fursat nhi milti!!
मुझको तो मोहब्बत का अंजाम मालूम था"फ़राज़..."
मैं तो बस हाथों की लकीरों को आजमा रहा था.
wo kehtey the k rone se nahi badalta naseeb,,
unn ki is baat ne umar bhar rone bhi na diya......
wo pehli baar rootha to hum bhi chup rahe
ek baar mana lete to har roz khafa hote.........
dekhi hai uski aankh me hamne pehli baar jo nami,,,
yun lag raha hai jaise samander udaas ho......
zindagi mein is se badh kar ranj kya hoga FARAZ
uska ye kehna ki tu shayar hai deewaana nahi...
Tumne Hi Kaha Tha Ki Aankh Bhar Ke Dekh Liya Karo Mujhe, Ab Aankh To Bhar Aati Hai Tum Nazar Nahi Aate
Hum fakiro se jo chahe wo dua le jaye,
fir khuda jane kaha humko hawa le jaye.
Kuch dene k kabil hi kaha h hum
agar koi chahe to jeene ki ada le jaye
Mil he jayein hum ko b kuch log FARAZ......
Shehar ka shehar bewafa to nahi ho sakta .......
Har pyar kamyab nahi hota,
Har yaar wafadar nahi hota,
Yeh to dil milne ki baat hai,
Varna saat pheron mein bhi pyar nahi hota
Jee bhar ke roya to karar paya,
Is daur mein kisne sachcha pyar paaya,
Zindagi guzar rahi hai imtihano k daur se,
Ek zakhm bhara nahi ke dusra taiyar paaya.
In aakhon mein aasu aaye na hote..
Wo jo mud mud kar yu muskuray na hote....
Unke jane ke baad ye Gam hota hai.....
Kaash wo Zindagi Mein Aaye na hote....
Hume ab nind ki talab nahi rahi.
Ab rato ko jagna acha lagta hai.
Mujhe nahi maloom ki wo meri kismat hai ki nahi
magar use khuda se mangna acha lagta hai.
Meri barbadi ki daastan sunane se pehle,
Mujhe itna bata jaate chhod jaane se pehle,
Agar koi shikwa tumne mujhse kiya hota,
Main tumko mana leta rooth jaane se pehle
Uski Hansi Main Chupay Dard Ko Mehsoos To Ker,,,,
Wo To Yunhi Hans Hans K Khud Ko Saza Deta Hai.....
jhuk jhuk ke dekhta hon main har ek nigha main
ya rab kahin wafa ka nishan toh mujhe mile.....
Dil aur dimag dono ke halat ho jate hai aajib se,
jab wo aajnabi bankar nikal jate hai karib se. ..........
kar rahe the tassavur mein unse guftagu
aur log samajh baithe k main deewana ho gaya..
Kaun kehta hai tujhe mainey bhulaa rakha hai,
teri yaadon ko to kalejey se lagaa rakha hai
Lab pe aahein bhi nahi, aankh mein ansu bhi nahi,
dil ney har raaz muhabbat ka chhupa rakha hai
apne dil ki sadgi pe rehem aata hai muze...
muskura ke baat jisne ki usi ka ho gaya....
usay maen yaad aata hun magar fursat k lamhon main...
magar yeh baat bhi sach hai FARAZ usay fursat nahi milti....
Main janta hu ye khwab jhute hai aur khushiya adhuri hai
magar jinda rehne ke liye mere dost,kuch galatfehmiyan bhi jaruri hai
Kuch khtakta to hai pehlu main mere, reh-reh kar,
Ab khuda jaaney teri yaad hai, ya dil mera...
TUJHE KAATIL NA KAHUN TO MAI TUJHE KYA SAMJHUN......
TUJHSE MILNE K BAAD HI SAARI KHUWAHISON ARMANO NE DUM TODA HAI....
ishq kahte hain jise sab wo yahi hai sayad................
khud-ba-khud dil me ek shakhs samaya jata hain.....
Udaass Is Qadar The Ke Soye Na Raat Bhar
Palkon Say Likh Rahe The kisi ka Naam Chand Par
Aaj uskay tassawwur ka aalam kuch is tarhan tha ..
kay neend aayi toh aankhon nay bura maan liya
ab bewfai ke tareeke bhi badal gaye hain
vo kisi aur par nahi ham pe hi muskurate hain
Jise dushman samjhta hoon,wahi apna nikalta hai,
Har ek patthar se mere sar ka kuch rishta nikalta hai..!!
ye mere pyaar ki inthaan lagti hai......
jakham bharta hi nahi chot jahan lagti hai
Dosti, chahat, wafa kuch bhi nahi,
Zindgi muskilon ke siwa kuch bhi nahi
kaash ye sanse ye dhadakane tham jaye ruk jaye..
per ye bhi tumhari hi tarah bewafa ho agyi hain....
inko bhi mujhpe TARAS nahi aata.... ..................
assi ohde her sukh da c rakhya kheyal......per ohnu sadde dukh di pervah koi na ::::
Aati Hai Chahto Ki Kahani Pe Ab Hasi
Tum Se Bichar Ke Soch Ke Rukh Bhi Badal Gaye
Ab Tum Ko Dekh Kar Bhi Dharakta Nahi Hai Dil
Tum Wo Nahi Rahe Ke Mere Dukh Badal Gaye
vo 'dost' jo dosti mein yu baimaan hua karte hai
kya malum tha dosti bhi matlab se kiya karte hai
jab hoti hai zarurat toh vo 'dost' badhate hai haath
matlab nikal jaane par wahi haath kheech liya karte hai
labon par le kar muskaan 'dost' aate hai karne salaam
phir matlab na ho toh nazren pher liya karte hai
yaa khuda maaf kar dena unn gustaak doston ko jo
dosti ka naam 'dost' ban kar badnaam kiya karte hai
jaa aye dost tum khush raho humse karke yu daga
teri khushi ki hum aaj bhi dil se dua karte hai
__________________
Ab Maut Bhi Aajeye To Gham Nahi Mujhko
Duniya mein Kyonki , Mera Talabgaar Nahi Koi
Badi Matlabi Duniya Hai Dost
Badi Matlabi Duniya Hai Dost
Thodi Si Jeb Kya Dhilee Ho Gayi
Hum Se Rista Hi Tod Liya
Aur Jaate Jaate Wo iya Keh Gayi
Mohabbat Mujhey Un Jawano Se Hai
Jo Khatey Peetey Gharano Se Hain
Dard Ka Patthar Ko Bhi Ehsaas Ho
Aam Logon Ki Tamanna Khaas Ho Toh Kya Karein
Dard Ka Patthar Ko Bhi Ehsaas Ho Toh Kya Karein
Kaun Samjhaye Hamein Ye Ishq Ki Majbooriyan
Soch Mein Tanha Koi Jab Paas Ho Toh Kya Karein
Log Badal Jaate Hai…
Mil Bhi Jaate Hai To Katra Kar Nikal Jaate Hai
Haaye Mausamki Tarah Dost Badal Jaate Hai
Wo Kabhi Apni Jafa Par Na Hue Sharminda
Hum Samajhte Rahe Patthar Bhi Pighal Jate Hai
Umar Bhar Jinki Wafaon Pe Bharosa Kariye
Waqt Padne Par Wohi Log Badal Jaate Hai…
Tujhse Door Ho Gaye
Kya Kahen Hum Kaise Tujhse Door Ho Gaye
Haalaat Se, Kuch Khud Se Majboor Ho Gaye
Mohhabbat Rula Deti Hai, Kab Ye Maana Tha
Apne Dil Ke Afsaane Wohi Dastoor Ho Gaye
Manzil Jise Samjha Bana Wo Meel Ka Pathar
Nayi Manzil, Naye Raaste Manzoor Ho Gaye
Hadd Se Barh Jaaye Jo Ghum, Deta Nahin Dard
Muskura Rahe Hain, Aise Hum Ranjoor Ho Gaye
Dil Tera Reza Reza Hai, Kaise Sambhale Tujhko
Khudaya Humse Kaise Yeh Qusoor Ho Gaye !!!
Khafa Rakha Hai
Roth Jate Ho To Kuch Aur Haseen Lagte Ho
Hum Ne Ye Soch Ke Hi Tum Ko Khafa Rakha Hai
Tum Zaat Meri Khud Se Juda Soch Ke Karna
Be-His Hein Yahan Log Bhala Soch Ke Karna
Is Dor Mein Logon Se Wafa Soch Ke Karna
Ik Bar Jo Roothe Hum To Mana Tum Na Sako Ge
Hum Jaise Wafadar Ko Khafa Soch Ke Karna
Gul Shakh Se Bichre To Kahin Ka Nahi Rehta
Tum Zaat Meri Khud Se Juda Soch Ke Karna
Sab Ke Haunto Pe Tabasum Tha Mere Qatal Ke Bad
Sab Ke Haunto Pe Tabasum Tha Mere Qatal Ke Bad
Jane Kya Soch Kar Rota Raha Qatil Mera
Ye Darya Ishq Mein Qadam Zara Soch Ke Rakhna
Ye Darya Ishq Mein Qadam Zara Soch Ke Rakhna
Is Mein Utarne Wale Ko Kinara Nahi Milta
Soch Lena Chahiye tha
Soch Lena Chahiye
Bicharne Se Zara Pehle
Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha
Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha
Ke Yoon Chahat Ko Thukraya Nahi Karte
Ke Yoon Anjaan Ban Kar Chain Se Jeena Hamare Waste
Mumkin Nahi Hoga
Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha
Ke Wo Batein Jo Hum Ik Dosre Se Kar Chuke Hain
Ab Kabhi Wapis Na Aaein Gi
Ke Har Lamhe Jo Hum Ek Dosre Me Ji Chuke Hain
Phir Kabhi Zinda Nahi Hoo Ge
Bicharne Se Zara Pehle
Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha
Umer Bhar Bhi Agar Sadaein Dein
Umer Bhar Bhi Agar Sadaein Dein
Beet Kar Waqt Phir Nahi Murte
Soch Kar Torna Inhe Saqi
Toot Kar Jaam Phr Nahi Jurte
रास्ते में ही छोड़कर उन्हे जाने कि आदत है
वो मेरे हर झूठ से खुश होती,
जिसे हमेशा सच बोलने की आदत थी,
वो एक आंसू भी गिरने पर खफा होती थी,
जिसे तन्हाई में रोने की आदत थी,
वो कहती थी की मुझे भूल जाओगे,
जिसे मेरी हर बात याद रखने की आदत थी,
हमेशा माफ़ी मांगने के बहाने से,
रोज़ गलतियाँ करना उसकी आदत थी,
वो जो दिल जान न्योछावर करती थी मुझ पर,
मगर छोटी सी बात पर रूठना उसकी आदत थी,
हम उसके साथ चल दिए पर ये नहीं जानते थे,
की रास्ते में ही छोड़कर उन्हे जाने कि आदत है,,
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.!!!!!!! !!!
Ek dost hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa.
Zazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai accha sa.
Jeevan ka ek aisa saathi hai,
Jo door ho ke pass nahin.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.
Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
Kabhi najuk toh kabhi tufaano sa.
Sakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.
Zindgi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.
Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
Yuh toh uske na hone ka kuch gam nahin,
Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai.
Yuh rehta toh mere tassavur me hai,
Par in aankho ko uski talaash nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahin. "
°º¤ø,¸¸,ø¤º°`°º¤ø °º¤ø,¸¸,ø¤º°`
तुम समंद्र की बात करते हो
लोग आँखों मैं डूब जाते हैं
°º¤ø,¸¸,ø¤º°`°º¤ø °º¤ø,¸¸,ø¤º°
यहाँ कौन रोता है किसी के लिए
सब अपनी ही किसी बात पर रोते है
इस दुनिया में मिलता है सच्चा साथी मुश्किल से
बाक़ी सब तो मतलब के यार होते है
°º¤ø,¸¸,ø¤º°`°º¤ø°º¤ø,¸¸,ø¤º°`°º
Sookhey honthon pe hoti hain meethi baaten,
Pyas jab bhuj jaye to lehze badal jaate hain...................
Mere mayaar ko samajhane ke liye bus itna hi kaafi hai.....
Mai us'ka Hargiz nahin hota jo har Kisi ka ho jaaye.
Meri Aankhon K Jadu Se Tum Nawakif Ho FARAZ
Mai Usey Pagal Kar Deta Hon Jis Pe Mujhy Pyar Aa Jaye..
Kisi ke dil pe kya guzari koi anjan kya jaane,
Pyaar kise kehte hian wo nadan kya jaane,
Hawa ke saath uda ke le gaya ghar parendon ka,
Kaise bane the ghonsle yah toofan kya jaane.
Hum Se Khelti Rahi Zindagi Tash K Patton Ki Tarah,
Jis Ne Jeeta Usne Bhi Phenka Jis Ne Hara Usne Bhi Phenka......!!!!
Jab tak bika na tha koi poochta nahi tha,
Tumne kharid ke mujhe anmol kar diya.
jane kIs baaT pe Uss Ne mujhE ChHOra hAI MOhsIn
MeIn tO MukhLis ThA "MAa" kI duAon kI Tarha.....!!
Thak Sa GAya Hai Meri "Chahaton"Ka Wajood,
Abb Koi "Acha" Bhii Lagey To Hum "Izhaar"Nhii Karte !!!
Raqs karne ka mila hukm jo dariyaao me
hamne khush hoke bhanwar baandh liye paaon me.
Tere sajde kahin tujhe kaafir na kr de MOHSIN.
Tu jhukta kahin aur hai aur sochta kahin aur hai.
Main Ne Mudat Se Koi Khwab Nahi Dekha.
Hath Rakh De Meri Ankhon Pe K Neend AA Jaye.
Goonjuga tere zehan ke gunmbad me raat din.
Too jis ko na bhula sake woh guftgoo hoon main.
Halaat ne Tor diya Kachay dhaage ki tarha Faraz...
Warna mere Waade b kabhi Zanjeer hua krte the...
Mai ek Zazbaat hun jo zahir nahi hota,
Mere hauslon ki qashti ka koi sahil nahi hota,
Badnasib rahe mujhse door jaane wale,
Mai waqt hun jo ghujar jaye to hasil nahi hota.
Apni Naakami Ka Ek Yeh Bhi Sabab Hai Faraz,
Cheez Jo Maangte Hain, Sab Se Juda Maangte Hain!!
Patther mujhey kehta hai mera chahney wala
Mai mom hoon us ne kabhi choo kar nahi dekha.
Hum Ne Chaha Tha Eik Aise ShaKhs Ko "Faraz"...
Jo Aaine Se Bhi "NaZuK" Tha Magar Tha Patthar Ka...
Meri aankhen bhi mujhse ek din yeh keh den gi Faraz,
Khuwab uske na dekha karo hum se ab roya nahi jata
Keh Dena Samandar Se Hum Oos Ke Moti Hain..
Dariya Ki Tarah Tujhse Milne Nahi Aayenge....
HAWA KHILAF THI MAGAR CHIRAG KHOOB JALA
KHUDA BHI HONE KA KYA-KYA SABOOT DETA HAI
Kal Dhoop Ke Mele Se Khareede The Khilone
Jo Mom Ka Puttla Tha Wo Ghar Tak Hi Na Puhancha.
Wo milega to uss ki aankhon se poochenge 'Faraz'
kis ko aabad kiya hai mujhe barbad kar ke.
Dekhi hai us ki ankh main pehli dafa nami
yun lag raha hai jaise samander udaas hai
mere haal pe hairat kaisi dard ke tanha mausam mein
patthar bhi ro padte hain insaan to phir insaan hua.
♥YaDoN Ki jAdeN PhOoT Hi pAdTi hAiN KaHiN Se,
DiL SoOkH BhI JaYe To bAnJaR NaHi hOtA
Is tarah mere gunaho'n ko wo Dho deti hai,
Maa bahut gusse me hoti hai to ro deti hai!
Qadam ruk se gaye hain phool bikte daikh kar "MOHSIN"
mai aksar us se kehta tha "Muhabbat phool hoti hai"
Us ke honthon ko dekha to mere dil me khayal aaya
Wo lafz kitne nasheelE honge jo inhen chhoo kar guzarte honge.
Jise chaha kash wo hamara hota, is khwahish ka bhi koi kinara hota,
Yah sochkar hamne use roka nahi, door hi kyun jata agar wo hamara hota.
Usi Muqaam Pe Tanhaa Khade Huye Hai "Nadeem" !
Zindagee Is tarhaa Guzree Hai , Ki Guzree Hi Nahee !!
sub ne to kasam nahi khayi bhool jane ki...
hai itna yaqeen mujhako koi yaad to karta hoga...
Woh is soch me saahil pe khada doob gaya....
kitna gehara tere dariya ka kinara hoga...
Woh mera hokar bhee mahroom raha mujhse faraaz....
kya koi meri tarha jeet ke hara hoga.
Is zist se ummid kya thi aur kya nikla,
Kahan jana tha aur kahan raasta nikla,
Jinhe khuda samjha wo sheehsa the,
Jo patthar tha wahi apna khuda nikla.
Kisi ka dil toote to aankh shab bhar roti hai,
yah duniya hai gulon ki jisme kanten piroti hai,
apne gaon me ham dushman se bhi khilakar milte hain,
aapka shahar dekha to taklif hoti hai.
Hazaar gham sahe lekin na aaya aankh me aansu
Humm Ehl_e_zarf hain peete hain chhalkaya nahi karte.
AiK KhaliSh ab Bhi MuJhe Bechein KaRTi Hai "Faraz"!
Sun K Mere MaRne Ki KhabaR Wo Roya Kyun Tha.!
ye mumkin nahi k sab log hi badal jate hain
kuch halaat k saancho me bhi dhall jate hain
khali hathon ko kabhi ghor se dekha hai Faraz
kis tarha log lakeeron se nikal jate hain