SMS

SMS

humari to itni si qadar hai shiraz k
baat hoti nahi or rooth jata hai wo

mujh main kya hai jo mujhe yad kre ga koi,
ache achon ko yahan log bhula dete hain


kaise mumkin tha kisi aur waseeley se ilaaj WASI
ISHQ KA ROOG tha zehar peene se gya


suna tha k zindagi imtehan leti hai ''yusra''
magar yahan to imtehan ne zindagi le li

hm bhare shehron main bhe tanha hain jane kis lie
log virano main krlete hain peda ashna

PARHI NAMAZ-E-JANAZA HAMARI GHERON NE
MARAY THY JIN K LIE WO RHE WAZO KRTE


wo laakh bewafa sahi ao us ka zikar karain SHIRAZ
abhi to umar pari hai us ko bhulane k liye

mujhe apne kirdar pe itna tu yaqeen ha fraz
koi mujhe chorr to sakta ha magar bhula nahi sakta


Kitna khauf hota hai shaam k andheron mein
Faraz
Pooch un parindo se Jin k ghar nahi hoty

..ZINDAGI..

Agar tum se koi poochay Batao Zindagi kia hy
Hatheli pe zara si khaak rkhna aur urra dena


KINARO PAR KHARE REHKAR HAMARA INTIZAR MAT KARNA
HAM TO KAGAZ KI KASHTI SE BHI DARIYA PAR KAR LENGE



MA TO BUS YOUNHI RAKH MA PHER RAHA THA UNGLIAN
DAKHA TO GOR SA TARI TASVEER BUN GAI


dil jal k khaak howa aakhon se roya na gaya
zakham kuch aysay thay pholon pe soya na gaya


Qaayil nahi main rone ka phir bhi kabhi kabhi
Tanhai main rona acha lagta hai


Bina libas aaye thay hum sub is jahan main
Bis ik kafan ki khatir itna safar kiya


hum to intekhab karte karte mar jayen gay faraz
koi to aye meri zindagi mein

Tumhari zindagi me koi gham na ho
tumhari aankhen kabhi num na ho
tumhe mile zindagi ki her khushi
usme bhale hum na ho


mana k panchon unglian barabar nahi hotin Waqas
par sab ki ragon main khoon to ek hi Adam(AS) ka hai


ki mere qatal k bad us ne jafa se toba
haye us zoode pasheman ka pasheman hona


kisi k ak ansun py hazarun dil traptay hain
kisi ka umar bar rona bykar jata hay


Ghareeb Samjh Ker Utha Dia Us Ne Apni Mehfil Se FARAZ
Kia Chand Ki Mehfil Mein Sitare Nahi Hotey


MUJHE KISI SE BHALAI KI TAWAQQO TO NAHI FARAZ
MEIN TO ADATAN SAB SE KEH DETA HON DUAON MEIN YAAD RAKHNA


ILAHI AABRO RAKHNA BADA NAZUK ZAMANA HE
DILON ME BUGHZ RAKHTE HE BAZAHIR DOOSTANA HE


SAB K HONTO PE TABBASSUM THA MERE QATAL K BAD
JANE KIA SOOCH K ROTA RAHA QATIL TANHA


me dekhta hun to bus dekhta hi rehta hun
wo ayne m b apne hi rang chore gaya

mujh ko utren to gawara hai zamane bhar ki LAKIN
MAAN ka utra hua chehra nahin dekha jata


MEHWAAR -E-SOCH DONO KI IK HI HAI
GALIB

MUJHE USSY OR USY KHUD SE FURSAT NAHI MILTI


Dil hi tau hai na sang O khist dard se bhar na aaya kyun
Royeinge hum hazaar baar koii hamein rulaaya kyun

Ye massil-e-tasawuf ,ye tera bayaan 'GHALIB'
Tujhe hum walee samajhate, jo na baada_khwaar hote


Mohabbat kar sakty ho to Rab say karo
Mati k Khilono say kabhi wafa nahi milti


barbaad qismat ne kya hai jenay ka kohe sahara nahi
jassim faryaad kare to kiss se kare dunya main kohi hamara nahi


Wo mera sab kuch hy lekn mera muqadar nahe
Kash wo mera kuch bhi na hota bus mera muqadar hota


Dil Tujhy Rooh Sy Pany Ka Talabgaar Hy Warna
Jism Bikty Hain Tery Sath K Kuch Damoo Main


kun kehta hai ye hamari akhri mulakat hai faraz
ham hain rahi pyra ky phir milengy chalty chalty


ham na honge tu kon manaiga tumhain
yeh buri baat hai har baat par rooth nahi karte


Bare Lateef Hai Wo Nazuk Se Ghar Me Rahte Hai
Mere Huzoor Mere Chashme tar Me Rahte Hai


Mujy Maloom Hai Mera Mukaddar tum Nai Lekin
Meri Takdeer Se Chup Kr MerY Ek Baar Ho Jao


Kitne majboor hoo taqdeer k hathon sahil
Na use paney ka zarf hy use khoney ka Hosla


Mary shikwon per us ne hans ke kaha Faraz
Kis nay ki thi wafa jo hum karty


na janay kiya hy us ki udas ankhon may mohsin
wo nazar chura kay bhi guzray to bewafa nahi lagta


Parcham Jan Laykar Nikla Jab KhakNishen Maktal Maktal
Us Waqat Sai Ab Talak Jalad Pe Habit Tari Hai

tari jehil se ghari ahkhoo main duob ka mar jauo
kitna hassen samandar hai
kudkoshi ka liye


HUM log tery shahr mein khusboo ki tarha heen FARAZ
mahesos to hote heen dikhai nai dety


Uski jafaon ne mujhe ik tehzeeb sikha di hai zubair
Main rotay huay so jata hon par shikwa nahi karta


kaun deta hai umar bhar ka sahara FARAZ
log to jenazai mai b kanda badal laitai hai


dunya walon SE alag mere mashgaley hen "faraz",
kanton ko choomta hon to phool jaltey hen


dil ki darkhan mein aik aahat si hoti hai
jo suni jati hai aik kahss lahme mein


apni mitti pe chalney ka saleeka seekho
sang e mar mar pe chalo gey to phisal jaogey


jaaney waley hamari mehfil se chand taron ko saath leta jaa
hum khizaan se nibah lenge tu baharon ko sath leta jaa

unki har baat pe humne ye soch kar yaqeen kar liya faraz
itney kubsurat labon se vo jhoot kahan bolti hogi


kaash mujey maaloom hojaye teri soch ka mehvaar
to me kud ko tarashun teri soch ki nazar se



Maana k bahot qemti hai waqt tera
HUM bhi naeyab heen ye tum hi kaha krtay thay


log pathar ko pooj kar masoom ban jatey hen
me ne aik insaan ko chaha to gunah gaar ho gaya


AJEEB tarha se nakam rahe hum dono FARAZ
wo mujhe chah na saka me use bhol na saki


Kisi ki kya majal jo hum ko Khared sakta ae "Faraz"
Hum to khud he bik gae tha kharedar dakh kar


MARNAY KAY BAAD BHI MERI ANKHEIN KHULI RAHIN
ADAT JO PAR GHI THI TERAY INTIZAR KI


MUDATON BAD MILA MERA NAAM PUCH LIYA USNAY FAIZ
BICHARTY WAQT JIS NY KAHA TAH TUM BHOOT YAD AAO GAY


mis-le sheesha hain hamen tham k rakhna ghalib
ham tere hath se chotay to bikhar jaen gay

Woh nafrat say dekhtay hain dekhtay tu hain
Main shad ho k hoo tu kisi ki nigha main

Jab kisi ki zulf kay soday ko insan moul lay
Aaqal kay meezan main pehlay zarf es ka toul lay


Insaan ki aarzoo ki nahi hai koai intiha
2 gaz zameen bhai chahai 2 gaz kafan kay bad


jab koi toot k bikherta he
usey hum sameta karte hen
lekin koi ye jaan na paya
k hum kub b kitney bikhery rehte hen


zinda hen to koi poochta tak nai faraz
marte hen to dunya kandhon pe utha leti he


yun to mere khuloos ki qeemat b kam na thi
kuch log kam shunaas tey dolat pe mar gay


safaid libaas usey muj par bht pasand ta sagar
aaj me kafan me hoon to vo rota q he


Diyye jalaney ki rasmen to bht purani hen
hamarey sher me to ab insaan jalaye jate hen

Bad marnay k bhi us ne chora na dil jalana Faraz
Roz phol phenk jate hain sath wali qabar pr


yeh wo parinda tha jis ko parvaz se fursat na thi
aj tanha ha to meri dewar pre aa betha ha


teri ded jisko naseeb ha wo ded qable ded ha
tera dekhna meri zindagi tera bolna meri eid ha


khuda kary k khazan ruk jay apny maqam pr
bari mushkil se bari mudat k bad ek wafa k phool khila ha

SUNA THAA KEH ZINDGI IMTEHAN LETI HAI MOHSEN
MAGAR YAHAN TU IMTEHANON NE ZINDGI LE LI


Agar vo pooch le ham se
Tumhain kis baat ka gham hai
To phir kis baat ka gham hai
Agar vo pooch le ham se


BICHRA IS ADA SA K RUT HI BADAL GAI
IK SHAKS SARAY SHAR KO VIRAN KAR GAYA


hum cheen lengey tum se ye shaan e bey nayazi
tum maaangtey phirogey apna guroor hum sey

har bar na kaha kar k tjy chor dain gay hum
na hum itny aam hain na ye tairay bus ki baat hay

apni aik hi adat dil ko bhati he bisma
BEwafai jo bhi karta he usey badsurat samajhtey hen


dil meraa jis se bahalataa ko_ii aisaa na milaa
but ke bande to mile ALLAH kaa bandaa na milaa


DIL TO MERA UDAS HAI NASIR
SHAHAR KUYN SAIN SAIN KARTA HA


Mera hathon ki lakiron main ye aib chupa hai mohsan
key ye jisko choo lain wa apna nahi rehta


mere hathon ki lakiron main ye aib chupa hai mohsan
k ye jisko choo lain wo appna nahi rehta


mere tanha honey ka eik ye bhi sabab hai faraz
k jo magtey hain sab sey juda mangtey hen


bheegi pulkoon me raat hoti hai
sab naseeboon ki baat hoti hai
aik lamha too mang le javed
zindagi un ke saath hoti hai

Dil main hota to kisi tor nikal hi jata
ab to woh shakhs bohat door talak hai muj main

zindagi tou hi bata kaise tujhe pyar karn
teri her sans tou mari omer ghata dati hai


Sawan Ki Bunyaad Mein
Kis k Aansu Hyn
Sadiyo'n Pehly Shayad Koi
Sadiyo'n Beth k Roya Tha

manzil ki justujoo me kyon phir raha hai rahi
itna azeem hoja k manzil tujhe pukare


Mat talash kr meri zaat mein aiyb
Faqat itna keh dy k main tere qabil nahi raha


Wo mile ga tou uss ki ankhaon sy pouchen gy Faraz
Kis ko abad kya hy mujhay barbaad krny k baad


dilon ki emaraton mein kahein bandagi nahi
Eeinton ki masjidon mein "KHUDA" dhoondtay hain log


apni halat ka ahsas nahi hai mujhe
maine logon se suna hai bahut pareshan hu main


Mangna bhool na jaoon ussay har namaz k baad FRAAZ
Yehi soch k hum ny naam uska dua rakha hai


Wo ye smjhte hain k me hr chehre ka talab-gar hun Faraz
Min dekhta sbhi ko hun bus US KI TALASH ME


Tere maikhane ka dastoor b ajeeb hai PARDESI
Sharab unko milti hai jinko Peena nahi aata


USS KI JAFAOON NY MUJHY IK TEHZEEB SIKHA DI HAI MOHSIN
MAIN ROTY HUE SO JATA HOON PAR SHIKWA NAHI KARTA


muj say kehti hai teray sath rehoo gii sada faraz
bohat payar kerti hai muj say udaasi meri


Mohabbat Aazmani Ho Tou Bas Itna Hi Kaafi Hay
Zara Sa Rooth Kr Dekho Mananey Kon Aata Hy


Main Na Hoon Gi Tou Meri Yaad Ki Baarish Ho Gi
Ek Pal Bhi Tujhey Tanha Na chorho'n Gi

suna ta dil samundar se bhi gehra hota hy CHAND
Heran hon es main samaya nahi tery siva koi


SOCHA k wo bohat "TOOT"ker "CHAHAY"GA HAMEIN
lakin "CHAHA" bi hum nay aur tootay bi hum?


ye judaiyoun ky rastay bari dor tak gay hai
jo gaya wo phr na aya mere bat maan jao


log sari umar poojty rahy pathroon ko khuda bana kar ghalib
hum ny eik insaan ko chaha to gunahgaar ho gaye

wo mard nai ho dar jaye halat k khoni manzar sy
jis door main jeena mushkil ho us door main jeena lazim ha


If You Love Somebody , set them free.If they return , They were always Yours ,If they don't , they never were.


Luv is missing Some1 Whnever you r apart , but somehow feeling warm inside bcoz u r close in heart,,,,,,


Bahut tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki
Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki

Usi ka karz hai jo aaj hai aankhon mein aansoo
Saza mili hai humein muskurane ki


kuchh door tumhara hath tham kar chala tha main kabhi
tumhare roomal men mere aansoo kya aaj bhi rote hain


ham ne chah ap ko
ap ne chaha kisi aur ko
khuda kare jise ap chaho
wo chahe kisi aur ko


Toota Huwa Dil Ke Kashti Ko Tufaa Ma Kinara Mil Jay
Tu Tham Le Mera Hath Agar Dono Ko Sahara Mil Jay


Kab Tak Royenge Kisike Sog Mein Baithkar
Hum Ye Khudko Kitni Baar Samjha Kar Ro Pare

Itne KHUDDAR they Hum k kabhi ghar se nahi nikklte they galib
Tere Ek Zauq-e- DEEDAR ne muje Awara Bana diya



Baadshaahi agar mil jaati kuch dinno ki "MOHSIN"
Meray shehar main teri tasveer k sikkay chala kartay

BULANDIOON PER AAYA NAHI KABHI APNA KHAYAAL MUJHY
KAHEEN TO DHOOND HI LAY GA MARA ZAWAL MUJHY


HAMARI TARAP TO KUCH BHEE NAHEE FARAZ
SUNA HAI US KE DEEDAR KO AINE TARASTE HAI


Kitaabon mein mere fasaane dhoondte hai
Naadaan hai guzre zamaane dhoondte hai

MERE SATH CHALNE WALE TERI JUSTAJO K SADKE
BARI SAKHT MANZILE HEN KAHE THAK K ROK NA JAO


nazar indaz kar ny ke saza dyna thee thuj ko
tery dil main utar jana zaroori hogaya tha


kon dyta hy umer bar ka sahara faraz
log tu janazy main b kandhy badal lyty hain

wo ager mil kar bicharta tu koi bat bhi thi
jis ko paya hi nhi use khona kesa


Kitne Nazuk Mizaj Hain Wo Kuch Na Puchiye
Neend Nahi Aati Unhaien Dharkan k Shor Say


Naraz kiu hoty ho chaly jaty hen tri mehfil sy FARAZ
Apny tuty hoay DIL k tukry to utha leny do


wo ye samagta hy k main her chehray ka talabgar hoon "SAQI"
main dekhta sabhi ko hoon bus uski talash main


bas yehi aadat uski mujay achi lagti hai fida
udaas ker k mujay khud b khush nahi rehta


Khushbu ki tarah aapke paas bikhar jaunga
Sukun bankar dil mein utar jaunga


tum tu kaha karte thay k waqat sahra hai faraz'
to phir shub tanhai main roya kauon karte ho


Zindagi se koi cheez udhar nahin mangi main ne FaRaZ
Kafan bhi lain gey to zindagi apni de kar


Hussan walon ko kiya zarorat hai sanwarney ki FaRaZ
Wo to sadgi main bhi Qiyamat ki adda rakhtey hain


doobta hua suraj ko dekta hon fida
k ik din aur guzar gaya tera chehra dekha beghair

Wo kr rha tha apni wafaon ka tazkara FARAZ
Hum per nigah pari to khamosh ho gya


Ashq Aankho Mein Mere Dekh K Rote Q Ho
Dil Bhar Aata Hai To Phir Dil Ko Dukhate Q Ho


In Se Vaabasta Hai Jab Mera Muqadar Phir
Mere Shano Se Ye Zulf Hatatay Q Ho


Roz Mar Mar K Mujhe Jeenay Ko Kehte Q Ho
Milne Aatay Ho To Phir Laut K Jatay Q Ho


Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho
Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho

suna hai sangdil ki ankh sa aansoo nahi behtay
agar ya sach ha to pathar say kyun chashmay ubalty hain


Har waqt Rulati hen hadd se zeyada woh " FARAZ "
Hum jis ko tassawur may ronay nahi daitay

Dil k rishton ki nazakat wo kia jane " FARAZ "
Naram lafzon se bhi lag jati hen choten aksar


Waqt ruksat a gaya Dil phir bhi ghabraya naheen
Us ko hum kiya khoyen ge Jis ko kabhi paya naheen


Zindagi jitni bhi hay Ab mustakal sahra main hay
Aur is sahra main Tera duur tak saya naheen


yeh teri talkhnawayian koi seh kar to dikha day
yeh jo ham main tum main nibha hai yeh maire hosle ka kamal hai


Ye bhi agar khata hai to beshak hui khata
Apna samajh ke tujhko pukara kabhi kabhi


usay teri ibadaton pe yaqeen hi nahi aye dost
jis ki khushiyan tu rab say ro ro ker mangta hai


kise ki yadd nay zakhmon say bhar diya sena fraz
her sans pe shak hai akhri ho


usay teri ibadaton pe yaqeen hi nahi aye dost
jis ki khushiyan tu rab say ro ro ker mangta hai

meri ankhen bhi ik din muj say keh den gai fraz
khawab na us k dekha ker hum say roya nahi jata


kafer howe thay jiss k liye hum Faraz
wo kal kisi or k liye muslmaan ho gaya


Dil k angan main chahat ka swera kar day
Ay KHUDA mujhe us ka ussay mera kar day

Chalo basa lein dunya nai ek dujay mein
AA meri rooh pay apni zat ka pehra kar day


USAY JAB YAAD AYEGA WO PEHLI BAAR KA MILNA
TU PAL PAL YAAD RAKHE GA YA SAB KUCH BHOOL JAYE GA


USAY JAB YAAD AYEGA WO MAUSAM KA HAR LAMHA
TU KHUD HI RO PAREGA YA KHUD HI MUSKURAYE GA


USAY JAB YAAD AYE GA SAWAN LOUT AYA HAI
BULA BHEJE GA WO MUJH KO YAH KHUD HI LOUT AYE GA


USAY JAB YAAD AYEGA MAI KAISEY MUSKURATA THA
TU ANKHEN MUSKURAIYEN GE YA DAMAN BHEG JAYE GA



USAY JAB YAAD AYEGA MAI KESE NAAM LETA THA
TU MERA NAAM LIKHE GA YA APNA B MITAE GA


Hoton pe hasee dekh li dil mai nahi dekha
Yaaron ne mere gham ka samander nahi dekha


Ek wafa ko paney ki koshish mai
mainey zakhmi kardi hain wafaaein kitni..


kitna masoom sa lagta hai ek Lafz "MOHABBAT"
Aur iss lafz se munsalik hain sazaain Kitni.

YEH LAZMI NAHI K HUM KO HAR DIN YAAD KARO FRAAZ,

MAGAR BHOOL JAO ISS KI BHI IJAZAT NAHI TUMHAIN.


KABHI SOOCHA HI NAHI APNI ZAAT K MUTALLIQ FRAAZ,

KAASH SOCH LAITY TO AAJ HUM TANHA NA HOTY.


MAIN US SY BICHER CHALA USSY HAIRAT HI NA HOI MOHSIN,

SHAYAD THA WO BHI ISSI GHARRI KA MUNTAZAR.


USSAY TERI IBADTOON PAR YAKEEN HI NAHI HAI SAQI,

JIS KI KHUSHIYAN TU RAB SY RO RO KAR MANGTA HAI.


MAIN KHUDA KI NAZROO MAIN KAISY NA GUNAHGAAR BANOO FRAAZ,

K ABSAJDOON MAIN BHI MUJHY WO YAAD AANY LAGA HAI.


manzil ki justujoo me kyon phir raha hai rahi
itna azeem hoja k manzil tujhe pukare


hum tou dushman ko bhi pakiza saza detay hain
hath uthatay nhi bus nazron se gira daitay hain


yeh keh kar sanperon ne band kar diya sanpon ko pitaron main
k dasnay k liye insano ko insan hi kaafi hain




yeh teri talkhnawayian koi seh kar to dikha day
yeh jo ham main tum main nibha hai yeh maire hosle ka kamal hai




koi lakh pare pyaar k mantar
jinki fitrat main hon dasna woh dasa krte hain


usay khana k hum khoosh hain
Bas unki yaadey satatey hain
un ki doori ka gham nahi mujhe
Bas zara palkey bhege jatey hain


kitna hy badnaseeb zafar dafan k liye
do guz zameen b na mili koye yar main


ya ashko ki lari tham jai tu jana
barsat mai aksar safer acha nahi hota


Wo kar rahy thy apni wafaon ka tazkra "FRAAZ"

Hum par nighah pari to khamosh ho gaye.


wo jo kahty tha k tu na mla tu mer jan ga
wo aj b zinda ha ya bat kisi ur sa kahny k lya


Is be naam se rishtey ko nibha jaao kisi din
Jo mil jae kabhi fursat tou paass aajo kisi din



Milta hai sabhe kuch sab he ko ye suna hai
Mujh ko tou faqat tum he mil jaao kisi din


Barsoon ki muhabbat ko kis tarah bhuladete hain
Mujh ko bhi aisa hunar sikha jao kisi din


Muqaddar me jo likha hai wo kabhi na mitte ga kanwal
Fursat milay tou dil ko ye baat samjha jao kisi din


Bana ker Faqeeron ka hum bhais Ghalib
Tamasha-e Ahl-e-Karam Dekhtay Hain


Zamaney bhar ne y loota hai faraib-e-dosti day kar "Faraz".
Agar tum sath do to sab say dushmani kar loon


AB TAK WOH ZAKHAM PURAANEY
BHARE NAHI IS DIL KE
MERI HATELI KI REKHAON MEIN
AB KOI NAYA VAADA NA LIKHO

DIL KEHTA HAI EK BAAR UNSEY
INKAAR KAR KE TO DEKHO
KISMAT KEHTI HAI
KHUD ZINDGI MEIN APNI KOI HAADSA NA LIKHO


WOH APNEY GHUM MEIN DOOBEY
HUM UN KE GHUM MEIN DOOBEY
AEY KHUDA PHIR MILA DE UNSE
KISMAT KO MERI PHIR TANHA NAA LIKHO


Ho Koi Naam Aisa To Jo Mujassma Husn-e-Fitrat Ho
Bohat Hi Khubsurat Ho Kisi Nazuk Pari Jaisa


Tumhari Shairii Sari Meri Tareef Thehrii Hay
Jisay Sun Kar Main Khuwabon Ki Si Kaifiyat Mein Kho Jaon

Vo jo likhta phirta hai dar o deevar pe naam mera
Kahin bikher na de mujhe harf harf kar ke


RUK HI JATI HAI NAZAR HAD-E-NAZAR TAK FRAAZ
DIL TO KEHTA HAI JAHAN TUM HO WAHAN TAK DAIKHOON


KABHI AANSOO BAHAO TO MUJE TUM YAAD KAR LENA,

JO KHOOD KO BHOOL JAO TO MUJE TUM YAAD KAR LENA,


KOI THA JO TUMHARI EK HANSI PAR JAAN DETA THA,

SO JAB BHI MUSKURAO TO MUJE TUM YAAD KAR LENA ,


WAFADARI KI BEEMARI FAKAT MUJ HI LAHAK HEI,

KISSI KO AAZMAO TO MUJE TUM YAAD KAR LENA ,


ABHI TO TUM NAI MANZIL NAEY RASTON KE RAHI HO,

KABHI GAR LOT AAO TO MUJE TUM YAAD KAR LENA ,


JAHAN BHI JAB BHI CHAHA HEI MUJE TUM NE BULAYA HEI,

JAHAN BHI JAB BHI CHAHO TO MUJE TUM YAAD KAR LENA,


SUNO! BHATTI KI BAS TUM SE FAKAT ETNI GUZARISH HEI,

MUJE GAR BHOOL JAO TO MUJE TUM YAAD KAR LENA,


katti nahi hain meri raten, katty nahi hain mery din,
mery saary sapny adhury, zindagi adhuri tery bin,

sathi mene paa k tuje khoya, kaisa hai ye apna nasib
hun tuj se bichhar gayi main yaden teri hain mery Qarib


No comments:

Post a Comment

Copyright © 2011 SMS. Designed by MakeQuick, blogger theme by Blog and Web | Posts RSS | Comments RSS